Vatsy-Speaks

Monday, October 30, 2006

Tere Jane Se to Kuch Badla Nahi!!!

I came across this wonderful verse from Gulzar. It precedes the song Tere Jane Se to Kuch badla nahi from the album Sunset Point.
The lines are so simple but conveys a whole lot of thing...
A failed love story, a broken heart, a never ending wait and......


Dholak Ki thap dur daraj ke Mohallon tak sunai di
jab use khabar mili to woh bhi pahucha
khidkiyo darwazo se jhank jhank kar uski nazar pakadne ki koshish karta raha
mehandi se sazi tak dulahan tak pahuchna mushkil tha
ek saheli dulhan ke liye chai ki pyali lekar aayi
usne to maangi nahi thi
saheli ne aankh jhapak kar kaha,
pilo cup mein paigaam bhi hai
cup ki tah mein usne angoothi rakh kar bheji thi
usne angoothi hothon se pili aur ungali mein pahan li
saheli ke mehandi lagi hatheli par likh ke bhej diya
usi sunset par milna jo pool par mila tha
lekin sandesa pahucha nahi
woh ja chuka tha
pal bhar mein sab badal gaya
aur kuch bhi nahi badla
jo badla tha woh to guzar gaya......

Friday, October 13, 2006

Yeh Duniya yaaron Daud Hai!!!

Lage Raho Munnabhai Version
^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^
Sahar ki is daud mein daud kar karna kya hai...
agar yahi jeena hai doston to fir marna kya hai....
pehli barish mein train late hone ki fikar hai,
bhool gaye bhigte hue tahalna kya hai!!!
serial ke kirdaron ka sara haal hai malum,
par ma ke haal puchne ki fursat kaha hai!!!
ab ret par nange pao tahalte kyu nahi?
108 hai channel par bhil dil bahalte kyu nahi?
internet par duniya se to touch mein hai,
par paros mein kaun rahta hai jante tak nahi...
mobile landline sabki bharmar hai,
par jigri dost tak pahuche aise taar kaha hai..
kab dubte hue suraj ko dekha tha yaad hai?
kab jana tha shaam ka guzarna yaad hai?

to doston Sahar ki is daud mein daud kar karna kya hai...
agar yahi jeena hai doston to fir marna kya hai.....



Vatsy's effort to duplicate it
^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^
diwali aate hi pollution ke baatein karne lagte hai
bhool gaye chup chup ke patakhe fodna kya hai
Kaun sa rasta kaun se shopping mall ko jata hai sab hai malum
par bagal wale baniye ki dukan mein kya kya milta hai yeh dekhne ke fursat kaha hai
ab garmiyon mein chhat par sote kyu nahi
75 tarah ke hai coldrinks par pyas bujhte kyu nahi
sms par hi haal e dil bayan kar dete ho
chitti kaise likhi jati hai jaante tak nahi
debit/credit card sabki bharmar hai
par dusro mein baant sako aisa pyar kaha hai
kab ugte hue suraj ko dekha tha yaad hai
kab jana the subah ka hona yaad hai


to doston Sahar ki is daud mein daud kar karna kya hai..
agar yahi jeena hai doston to fir marna kya hai.....